kisi ki kisi ko mohabbat nahin hai abhi is ki duniya ko lazzat nahin hai agar tum ko milne ki fursat nahin hai mujhe bhi ziyaada zarurat nahin hai bahut khushnuma hai gulistan-e-alam magar sair karne ki fursat nahin hai bahut se gharon mein khazane hain madfun nahin hai to ganj-e-qanaat nahin hai kahan tak na behosh-o-be-khud karegi mai-e-wasl hai koi sharbat nahin hai khayalat mein apne hun gharq waiz mujhe kahne sunne ki fursat nahin hai dikhate nahin sharm se ru-e-raushan koi kaamyabi ki surat nahin hai tazalzul mein kis waste hai zamana shab-e-hijr hai ye qayamat nahin hai kahan ai pari tu kahan hur-e-jannat teri us ki aapas mein nisbat nahin hai meri qumriyon ke siwa kaun insan ye shamshad hai is ki qamat nahin hai wo utthe to lakhon hi fitne uthenge wo qamat bhi kam-az-qayamat nahin hai na kyun dil lage yan wo hai aur khalwat ye hura nahin hai ye jannat nahin hai jafaen na kije na kije na kije tahammul ki ab mujh ko taqat nahin hai talatum mein masruf hai qatra qatra koi shai yahan be-haqiqat nahin hai jahan tak bane tum se be-dad kar lo agar aane wali qayamat nahin hai larazta hai kyun dar se ai jism-e-laghar ye dhadka hai dil ka qayamat nahin hai hasinon ki chahat hasinon ki ulfat musibat bhi hai aur musibat nahin hai tumhein aashiq aur mujh ko mashuq lakhon yahan aadamiyyon ki qillat nahin hai sambhal kar zara naz-o-aghmaz kije hasinon ki duniya mein qillat nahin hai zamane mein hone ko sab kuchh hai 'parwin' hamein kya umid-e-shafaat nahin hai