wo kahte hain yaqin lana padega ye dhoka jaan kar khana padega zamane ko badalna hum ne thana zamane ko badal jaana padega salamat hai hamara jazb-e-ulfat tum aaoge tumhein aana padega yahi marzi hai us aaram-e-jaan ki hamein ab jaan se jaana padega dil-e-nadan samajh jaega lekin dil-e-nadan ko samjhana padega adu ke naz uthte kaun dekhe teri mahfil mein uth jaana padega nahin ai sang-e-dil han wo nahin tu kiye par jis ko pachhtana padega bada bad-rah hai charkh-e-sitamgar use ab rah par lana padega pada hai ai 'wafa' pala buton se khuda ko darmiyan lana padega