kiya hai din-dar us sanam ko hazaron tufan uTha-uTha kar

kiya hai din-dar us sanam ko hazaron tufan utha-utha kar
lagain wo tohmaten ki bola khuda-khuda kar khuda-khuda kar

teri mohabbat ne mar dala hazar iza se mujh ko zalim
rula-rula kar ghula-ghula kar jala-jala kar mita-mita kar

sharab-khana hai ye to zahid tilism-khana nahin jo tute
ki tauba karte gai hai tauba abhi yahan se shikast pa kar

nigah ko bebakiyan sikhao hijab-e-sharm-o-haya uthao
bhula ke mara to khak mara lagao choten jata-jata kar

na har bashar ka jamal aisa na har farishte ka haal aisa
kuchh aur se aur ho gaya tu meri nazar mein sama-sama kar

ilahi qasid ki khair guzre ki aaj kuche se fitna-gar ke
saba nikalti hai ladkhada kar nasim chalti hai tharthara kar

janab-e-sultan-e-ishq wo hai kare jo ai 'dagh' ek ishaara
farishte hazir hon dast-basta adab se gardan jhuka jhuka kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close