kisi ki purshish-e-gham bar ho gai hogi tamam dukh hama aazar ho gai hogi shadid maut ki yalghaar ho gai hogi hayat ret ki diwar ho gai hogi wo ek chiz sharafat se jo ibarat hai hamari raat ki diwar ho gai hogi hadis-e-dil lab-e-izhaar ke tawassut se hadis-e-kucha-o-bazar ho gai hogi tabiat apni jo aazar se nahin bharti haris-e-lazzat-e-azar ho gai hogi uthi jo hogi kabhi dil se koi dard ki lahar harif-e-dida-e-khun-bar ho gai hogi jo hum pe saya-e-adbar hai to sust zarur hamare kaam ki raftar ho gai hogi ye zillaton ki jo bhar-mar hai to apni khata usi saza ki saza-war ho gai hogi jawab mein meri kotah-dastiyon ke 'zafar' buland aur wo diwar ho gai hogi