talluq ke bahaw ka muqaddam istiara kis jagah hai mere gahre samundar teri wahshat ka kinara kis jagah hai bata ai roz-o-shab ki be-sabaati mein tawazun rakhne wale jise kal tutna hai aaj wo raushan sitara kis jagah hai bata sarsabz kheton se guzarne wale be-awaz dariya achanak pech kha kar rukh badalne ka ishaara kis jagah hai bashaarat jis ke hone ki mujhe pahle qadam par di gai thi wo gahre abr ka saya masafat ka sahaara kis jagah hai safar karna hai aur andha musafir sochta hai kis se puchhe sar-e-hasti andhere raston ka goshwara kis jagah hai na sath-e-ab par hai aur na tah mein is ke hain aasar koi bata ai bahr-e-gham kaghaz ki kashti ko utara kis jagah hai