mere jaise nahin kisi ke zaKHm

mere jaise nahin kisi ke zakhm
hain mere zakhm zindagi ke zakhm

aaina dekhta hai hairat se
lab pe aae nahin hansi ke zakhm

sab ki nazren hain mere sar ki taraf
chhatpatate hain tashtari ke zakhm

zakhm khana tha mashghala us ka
kha gae phir use usi ke zakhm

baith jata hun ret par thak kar
aur ginta hun ek nadi ke zakhm


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close