main talash mein kisi aur ki mujhe dhundhta koi aur hai main sawal hun kisi aur ka mera masala koi aur hai kabhi chand-chehron ki bhid se jo nikal ke aaya to ye khula wo jo asl tha use kho diya jise pa liya koi aur hai kati umr ek usi chah mein use dekhte kisi rah mein magar ek zamane ke baad jo hua aashna koi aur hai faqat ek pal ke firaq mein kai khwab kirchiyan ho gae jo palat ke aae to yun laga yahan silsila koi aur hai wahi log hain wahi nam hain wahi ghar wahi dar-o-baam hain magar ab darichon ki ot se hamein jhankta koi aur hai kisi aane wale safar ki jab karo ibtida to ye sochna main akela is mein sharik hun ki mere siwa koi aur hai use mil ke aae to sham ko mujhe aaine ne kaha suno wo jo subh-dam tha hasan-'raza' wo tumhi ho ya koi aur hai