koi nishani-e-ahd-e-visal de jae wo meri umr mere mah-o-sal de jae use kaho ki kisi roz aa ke phir mujh ko hasin khwab achhute khayal de jae palat ke aae kabhi us ki yaad ka mausam gul-e-murad ko rang-e-jamal de jae khuda kare ki achanak wo samne aa kar mere labon ko nae kuchh sawal de jae tamam umr ki khushiyan samet kar meri tamam umr ke apne malal de jae koi to ho jo mere chaara-gar se ja ke kahe dawa kabhi to mere hasb-e-haal de jae agar nahin hai mudawa zawal ka 'shahid' wo hausla to ba-waqt-e-zawal de jae