paband-e-rasm-o-riwayat hain aain-e-mohabbat kya jaanen sajde asnam ko karte hain ye auj-e-ibaadat kya jaanen jama-o-tafriq mein ghaltan hain taqsim-o-zarb se pechan hain ye shaukat-e-iman kya jaanen ye shan-e-hamiyyat kya jaanen ye shaikh hai ye maulana hai ye zahid hai ye sufi hai ye hazz-e-rifaqat kya jaanen ye nashsha-e-sohbat kya jaanen ya hosh-o-hawas ki baaten hain ya fikr-o-khirad ki ghaten hain majnun ki riyazat kya jaanen farhad ki jurat kya jaanen qismat mein nahin shab-bedari be-bahra girya-o-zari hai ye afw ki rahmat kya jaanen ye jud ki azmat kya jaanen