uf wo ek harf-e-tamanna jo hamare dil mein tha ek tufan tha ki barson hasrat-e-sahil mein tha rafta rafta har tamasha aansuon mein dhal gaya jaane kya aankhon ne dekha aur kya manzil mein tha dastan-e-gham se lakhon dastanen ban gai phir bhi wo ek raaz-e-sar-basta raha jo dil mein tha chashm-e-saqi ke alawa jam-e-khali ke siwa kaun apna aashna aghyar ki mahfil mein tha mere armanon ka markaz mere dardon ka ilaj timtimata sa diya ek gosha-e-manzil mein tha guftugu ke khatm ho jaane par aaya ye khayal jo zaban tak aa nahin paya wahi to dil mein tha mit gain imroz o farda ki hazaron uljhanen jo sukun tufan mein paya hai wo kab sahil mein tha