kisi ko lakh alam ho zara malal nahin koi mare ki jiye kuchh unhen khayal nahin ye jaanta hun magar kya karun tabiat ko ki mai haram hai ai waizo halal nahin abas ghurur hai mangwa ke aaina dekho wo rang-o-rup nahin ab wo sin o sal nahin huzur aap jo hote to koi kyun banta ye khubi aap ki hai ghair ki majal nahin idhar to dekho hamein do hi din mein bhul gae ye be-murawwati allah kuchh khayal nahin bahaar-e-husn ye do din ki chandni hai huzur jo baat ab ki baras hai wo par-sal nahin hazar na kijiye milne se khaksaron ke dua to hai jo faqiron ke pas mal nahin kisi ne ja ke burai kahi jo 'jauhar' ki kaha ye jhut hai us ki to ye majal nahin