kuchh tum se shikayat thi na duniya se gila tha main yunhi zara der ko khamosh hua tha wo umr-e-gurezan ho ki ho tera tasawwur sae ki tarah sath mere koi laga tha kya jaaniye kis waste maslub hua hun duniya mein to bahuton ne tera nam liya tha aa jate na gar samne dariya ke kinare main hijr-e-musalsal ko tere bhul chala tha wo waqt bhi guzra hai ki jiddat ke junun mein main apni nawaon ka gala ghont raha tha sab bhul chuka main to teri yaad ka aalam ye yaad hai ek bulbula pani se utha tha kya wo bhi 'saba' mujh ko na pahchan sakega hairat se jo aaina mujhe dekh raha tha