kisi nadida shai ki chah mein aksar badalte hain kabhi aankhen kabhi chehra kabhi manzar badalte hain kisi mahfuz goshe ki talab majbur karti hai makin badle nahin jate hain so hum ghar badalte hain miyan bazar ko sharminda karna kya zaruri hai kahin is daur mein tahzib ke zewar badalte hain ye an-jaane parinde kaun se jangal se aae hain jo har parwaz se pahle nae shahpar badalte hain isi se surat-e-haalat ki taswir banti hai usi ke dar se hum log apna apna dar badalte hain sitara sa meri aaghosh mein kuchh to chamakta hai jhalak pane ki jis ko aaine mehwar badalte hain