takhta-e-mashq banun jaan-ba-sipar ho jaun tu bata kaun sa chehra lun kidhar ho jaun be-zabanon ki rifaqat bhi mayassar kar li boliye aap ka manzur-e-nazar ho jaun rah takte hue aankhen to adhuri thahrin kahiye sarkar ki ab rahguzar ho jaun meri aawaz se himmat ko jila milti hai be-kasi tut pade main ki jidhar ho jaun khair thahri hai zamane ke muafiq hona hone ko ji nahin chahe hai magar ho jaun jo baghawat pe waidon se nikhar jata hai 'farhat'-e-talkh-nawa tesha-nazar ho jaun