rakkha tha jise dil mein wo ab hai bhi nahin bhi yunhi mere jine ka sabab hai bhi nahin bhi pahuncha hai tere mahr se qutbain ka mausam din tha to nahin bhi tha ye shab hai bhi nahin bhi fariyaad ne sikhi hai teri waz-e-tabassum is rukh se ki sharminda-e-lab hai bhi nahin bhi hairat-kada-e-dahr hai ek khwab ka aalam dekha jo is aalam mein ajab hai bhi nahin bhi mil jae to katraun jo kho jae to dhundun ye kaisi talab hai ki talab hai bhi nahin bhi ye hijr ki dozakh hi bhali jaisi hai sab hai is wasl ki jannat se ki sab hai bhi nahin bhi