main kahun kya unhen yaqin hi nahin wo kahe jate hain nahin hi nahin ya koi aashiq is jahan mein nahin ya koi aap sa hasin hi nahin aap be-mehr bhi hain zalim bhi mujh se suniye faqat hasin hi nahin dekhega jaega jo jannat mein aish zahid hamein yahin hi nahin jis pe kanda ho naqsh ulfat ka dil se behtar koi nagin hi nahin aur kuchh kahiye is samajh pe unhen shaikh sahab ko aafrin hi nahin dasht-e-wahshat maze dikha deta kya kahen jeb-o-astin hi nahin ya tera sang-e-dar nahin zalim ya meri aaj ye jabin hi nahin khud use ai 'fahim' kah dekho gar meri baat ka yaqin hi nahin