yaad aata hai mujhe ret ka ghar barish mein mein akeli thi sar-e-rahguzar barish mein wo ajab shakhs tha har haal mein khush rahta tha us ne ta-umr kiya hans ke safar barish mein tum ne puchha bhi to kis mod pe aa kar puchha kaise ujda tha chahakta hua ghar barish mein ek diya jalta hai kitni bhi chale tez hawa tut jate hain kai ek shajar barish mein aankhen bojhal hain tabiat bhi hai kuchh afsurda kaisi alsai si lagti hai sahar barish mein