kisi se bhi nahin hum sabr ki talqin lete hain hamein milti nahin jo chiz us ko chhin lete hain budhapa aa gaya lekin nahin badla mizaj un ka abhi tak kapde wo apne liye rangin lete hain faqiron ko kabhi dar se na khali lautne dena duaen dete hain khairaat jab miskin lete hain wo sare log ranj-o-gham se pa jate hain aazadi jo subh-o-sham wird-e-sura-e-yasin lete hain tumhein hairat hai kyon ahal-e-filistin ki shujaat par yazidon se sada loha to ahl-e-din lete hain