manind-e-shama-e-bazm pighalne ke waste paida hua hun ishq mein jalne ke waste wo naz kar rahe hain shab-e-wasl aur idhar arman tadap rahe hain nikalne ke waste bulbul se kah do shewa-e-faryaad chhod de aaenge bagh mein wo tahalne ke waste rone ko hijr-e-yar mein aankhen ata huin bakhsha gaya hai dil bhi machalne ke waste sach puchhiye to ishq mein khud ko badal liya hum ne khayal-e-yar badalne ke waste 'hajir' qarar dil ko na aaya kisi tarah kya kya kiya na is ke bahalne ke waste