luTi bahaar to nazm-e-chaman pe kya guzri

luti bahaar to nazm-e-chaman pe kya guzri
na puchhiye ki gulon ke badan pe kya guzri

tumhaare shahr mein mare gae jise patthar
kise hai dard wo diwane-pan pe kya guzri

nasib ho gaya us ko maqam hasti ka
na puchho morid-e-dar-o-rasan pe kya guzri

shikast-e-jam ki aawaz hai gawah us ki
ki mai-kade mein kisi dil-shikan pe kya guzri

zarur ilm hai is ka nigah-e-saqi ko
ki tang-zarfi se tishna-dahan pe kya guzri

wo ek naz-e-taghaful se uth gae lekin
khabar nahin ki bhari anjuman pe kya guzri

watan ka aa gaya jis dam khayal ghurbat mein
'nazar' na puchho gharib-ul-watan pe kya guzri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close