maani-o-lafz ki dukan kahan aur ehsas ki zaban kahan aap aur mere ghar maaz-allah is zamin par ye aasman kahan main barabar talash karta hun hain zabanon mein be-zaban kahan naw tufan par kar jati hae tute hain baadban kahan ab khushi bhi khushi nahin deti aa gai umr ki dhalan kahan jo sarapa khulus the 'taban' aaj-kal aise mehrban kahan