kisi se rabt nahin hai kisi se pyar mujhe na jaane rahta hai phir kis ka intizar mujhe har ek sans meri umr ko ghatati hai nafas ka tar hai goya kafan ka tar mujhe meri bahaar ko mausam ka intizar nahin koi jo hans ke mila mil gai bahaar mujhe na be-qarar ho tu meri be-qarari par tadap tadap ke khud aa jaega qarar mujhe ye dil ka aaina ab todne ke qabil hai dikhai deta nahin us mein ru-e-yar mujhe kisi ke husn ki main ne bahaar dekhi hai chaman ke phul dikhate hain kya bahaar mujhe ye khud-farebi hai meri ki khud-faramoshi na aane wale ka rahta hai intizar mujhe mere wajud se harakat to hai zamane mein agarche mauj ki surat nahin qarar mujhe mere chaman hi se wabastagi hai donon ki aziz kyun na hon phulon ke sath khar mujhe 'jigar' ke khun se aankhon mein surkh dore hain samajh raha hai zamana sharab-khwar mujhe