ye sunte hi khushi se hum bhi pichhe aa gae hain wo saf andaz mein sab kuchh hamein farma gae hain suhulat se kinara kar ke kar-e-khair mein bhi sitam sare hamari zat par wo dha gae hain ek aisa hadisa dar-pesh aaya tha yahan par parinde hi nahin ashjar bhi ghabra gae hain bhulane ka koi bhi rasta chhoda nahin hai are pagal tere zehn-o-guman par chha gae hain khushi se tod ya mahfuz rakh marzi hai teri khilaune hain tere hathon mein jo hum aa gae hain faqat dawe nahin tu jaan bhi deta hai hum par tere nakhre hamein kuchh is sabab se bha gae hain