mubtala ye dil hua jab yar nanga ho gaya shama be-parda hui qurban patanga ho gaya gir pade ushshaq us ki tegh-e-khun-asham par kal shahadat ke talab-garon ka danga ho gaya dafn kar ke fatiha padh ke mera bola wo shokh aaj bimar-e-mohabbat mera changa ho gaya bazm mein jal kar kiya shab raaz-e-ulfat aashkar shama ke manind parwana bhi nanga ho gaya gir ke us ke kucha-e-tarik mein nikla na dil pech-e-zulf-e-yar ka mujh ko adanga ho gaya wasf dair-o-kaba ka hum ne judagana kiya ek hi mazmun tha fiqara do-ranga ho gaya badhte badhte apna tul-e-zindagani kam hua ghatte ghatte jama-e-hasti utanga ho gaya khushnuma hai us rukh-e-raushan pe kya khal-e-siyah zeb gulzar-e-iram ka la-bhujanga ho gaya shah-e-haft-aqlim se ai dil gada-e-dahr tak dhang se aaya wahan se yan kadhanga ho gaya jis qadar wo mujh se bigda main bhi bigda us qadar wo hua jame se bahar mein bhi nanga ho gaya yun kahenge yar iqlim-e-sukhan mein in dinon 'muntahi' bhi ek hi katta-dabanga ho gaya