tamam dard ho dil aur nazar gila na kare kisi gharib pe yun aa bane khuda na kare hazar dard de aur ek ki dawa na kare jo kuchh kisi ki nigah-e-karishma-za na kare wo dil ki ek na sune dil mera kaha na kare pade kisi se kisi ki gharaz khuda na kare bigad ke baithe hain tyori chadhi hai barham hain ki koi arz-e-tamanna ka hausla na kare na ban-sanwar ke har ek bar aaina dekho lage tumhin ko tumhaari nazar khuda na kare shab-e-firaq ke tare ye kah ke dub gae kisi ka koi mohabbat mein aasra na kare junun-e-ishq ki masum hasraten tauba wo minnaten karen dil arz-e-muddaa na kare dil aur teri mohabbat ke dukh are tauba ye gham nasib ho dushman ko bhi khuda na kare nigah-e-naz ho jab aap silsila-jumban to kaun hoga jo tajdid-e-muddaa na kare tumhin kaho ki jo tum aas is tarah todo to kis umid pe dil tark-e-muddaa na kare kisi ke wada-e-farda ki sharm rah jae khuda kare ki meri zindagi wafa na kare dil aur pahli mohabbat ki chot are tauba gham aur taza judai ka gham khuda na kare 'sarosh' kitna hasin hai ye maslak-e-‘hafiz’ gunah lakh kare ek dil bura na kare