kisi surat numud-e-soz-e-pinhani nahin jati bujha jata hai dil chehre ki tabani nahin jati nahin jati kahan tak fikr-e-insani nahin jati magar apni haqiqat aap pahchani nahin jati nigahon ko khizan-na-ashna banna to aa jae chaman jab tak chaman hai jalwa-samani nahin jati pashiman-e-sitam wo dil hi dil mein rahte hain lekin khusha husne ki tarz-e-na-pashimani nahin jati mizaj-e-ahl-e-dil be-kaif-o-masti rah nahin sakta ki jaise nikhat-e-gul se pareshani nahin jati sadaqat ho to dil sinon se khinchne lagte hain waiz haqiqat khud ko manwa leti hai mani nahin jati bulandi chahiye insan ki fitrat mein poshida koi ho bhes lekin shan-e-sultani nahin jati gae wo din ki dil sarmaya-dar-e-dard-e-paiham tha magar aankhon ki ab tak mir-samani nahin jati jise raunaq tere qadmon ne de kar chhin li raunaq wo lakh aabaad ho us ghar ki virani nahin jati wo yun dil se guzarte hain ki aahat tak nahin hoti wo yun aawaz dete hain ki pahchani nahin jati mujhe to kar diya sairab saqi ne mere lekin meri sairabiyon ki tishna-samani nahin jati nahin malum kis aalam mein husn-e-yar dekha tha koi aalam ho lekin dil ki hairani nahin jati jale jate hain badh badh kar mite jate hain gir gir kar huzur-e-shama parwanon ki nadani nahin jati mohabbat mein ek aisa waqt bhi dil par guzarta hai ki aansu khushk ho jate hain tughyani nahin jati 'jigar' wo bhi ze-sar-ta-pa mohabbat hi mohabbat hain magar un ki mohabbat saf pahchani nahin jati
Please share if you liked this!!!