kisi surat se ho jata hai saman-e-safar paida irada kar hi leta hai khud apni rahguzar paida gunahgari ki niyyat ko gunahgari nahin kahte safar ke qasd se hoti hai kab gard-e-safar paida zaruri kya ki barse aag upar se nasheman par khas-o-khashak hain ho jaenge barq-o-sharar paida koi pursan-e-gham ho ya na ho kya farq padta hai aziyyat khud hi kar leti hai apna chaaragar paida 'munawar' mujh pe sham-e-yas ghaalib aa nahin sakti ki har ummid se hota hai ek rang-e-sahar paida