main ahl-e-dahr ki nazron mein be-aqida sahi ulat naqab ki nadida aaj dida sahi hawa-e-kucha-e-mahbub ka hun daman-gir hazar daman-e-mahbub na-rasida sahi tasawwuraat tere husn se hain wabasta talluqat teri zat se kashida sahi meri buland khayali mein kya kami aai main arsh-zad nahin khak-e-afrida sahi mujhe nahin na sahi ho adu ko chain nasib bashar ka dukh hai mujhe main bashar gazida sahi jise mila hai use mast kar gaya 'sahba' mere khayal ka baada-sukhan kashida sahi