ye inayaten ghazab ki ye bala ki mehrbani meri khairiyat bhi puchhi kisi aur ki zabani nahin mujh se jab talluq to khafa khafa se kyun hain nahin jab meri mohabbat to ye kaisi bad-gumani mera gham rula chuka hai tujhe bikhri zulf wale ye ghata bata rahi hai ki baras chuka hai pani tera husn so raha tha meri chhed ne jagaya wo nigah main ne dali ki sanwar gai jawani meri be-zaban aankhon se gire hain chand qatre wo samajh saken to aansu na samajh saken to pani hai agar hasin banana tujhe apni zindagi ko to 'nazir' is jahan ko na samajh jahan-e-fani