kisi surat se us mahfil mein ja kar muqaddar hum bhi dekhen aazma kar taghaful-kesh main ne hi banaya use haal-e-dil-e-shaida suna kar utha lene se to dil ke raha main tu ab zalim wafa kar ya jafa kar tere gulshan mein pahunche kash ek din nasim-e-ashnai rah pa kar khushi un ko mubarak ho ilahi wo khush hain khak mein mujh ko mila kar dahan hai rashk se ghunche ka pur-khun kidhar dekha tha tum ne muskura kar wo sharmate hain sun kar wasl ka nam raha hun main jo chup to baat pa kar hua wo bewafai mein musallam nishan-e-turbat-e-ashiq mita kar gunah apne mujhe yaad aae 'wahshat' khajil sa rah gaya main hath utha kar