ruKH ki rangat gulab ki si hai

rukh ki rangat gulab ki si hai
aur chamak aaftab ki si hai

kam-sini mein wo aafat-e-jaan hain
jo ada hai shabab ki si hai

aap ke hote hur ko chahen
kya wo surat janab ki si hai

ghunche mein koi baat bhi kahiye
dahan-e-la-jawab ki si hai

aankhen nargis ladati hai hum se
ye bhi us be-hijab ki si hai

ai gul-e-tar tere pasine mein
rang aur bu gulab ki si hai

na ho bawar to dekhen aaina
shakl is mein janab ki si hai

raushni mah-o-mehr-e-anwar mein
kab rukh-e-la-jawab ki si hai

abhi ubhre abhi mitenge hum
apni hasti habab ki si hai

kyun na chumen tumhaari surat ko
ye khuda ki kitab ki si hai

tarz un ke sitam ki ai 'sabir'
karam-e-be-hisab ki si hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close