kita kahin pukar ai ghafil biya biya phirta hai kyun tu bhul apas ka piya piya bujha hai kyun ajal ko apas se baid kar ghaflat mein chup umar ko tu zae kiya kiya ab to samajh tuk ek tera jaan kaun hai papa hai ji ko jis ne mua nahin jiya jiya lekin nahin hai kaam har ek kham ka yahan aashiq wahi hua hai ki jo sar diya diya pahuncha hai jo ki ishq mein manzil ko wasl ki be-shak sakal jahan mein hua be-riya riya jo kui qadam ko apne rakha rah-e-ishq mein kahte hain aashiqan ki wo manzil liya liya donon jahan se kaam nahin mujh ko ai 'alim' bas hai mujhe karim diya so hiya hiya