na-tawan ishq ne aaKHir kiya aisa hum ko

na-tawan ishq ne aakhir kiya aisa hum ko
gham uthane ka bhi baqi nahin yara hum ko

dard-e-furqat se tere zoaf hai aisa hum ko
khwab mein bhi tere dushwar hai aana hum ko

josh-e-wahshat mein ho kya hum ko bhala shukr-e-libas
bas kifayat hai junun daman-e-sahra hum ko

rahbari ki dahan-e-yar ki jaanib khat ne
khizr ne chashma-e-haiwan ye dikhaya hum ko

dil gira us ke zanakhdan mein fareb-e-khat se
chah khas-posh tha ai wae na sujha hum ko

wah kahidgi-e-jism bhi kya kaam aai
bazm mein the pa raqibon ne na dekha hum ko

qalib-e-jism mein jaan aa gai goya 'shibli'
moajaza fikr ne apni ye dikhaya hum ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close