kitab-e-zist ke auraq-e-tar-tar ke nam

kitab-e-zist ke auraq-e-tar-tar ke nam
main intisab hun khud apne intishaar ke nam

wo umr bhar jise dhoya rah-e-tajassus mein
mera ghubar-e-badan hai usi sawar ke nam

usi ki pusht pe ek taq-e-be-charagh bhi hai
wo ek dar jo hai khurshid-e-kaamgar ke nam

wahi makan jise ishq ne banaya tha
hawas ne kar diya us ko bhi kam-ayar ke nam

tabah kar gai jis ko hawa-e-garm 'ziya'
mera asasa-e-gham hai usi bahaar ke nam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close