mat puchhiye kya jitne nikla tha main ghar se

mat puchhiye kya jitne nikla tha main ghar se
mat puchhiye kya haar ke lauta hun safar se

kuchh main bhi giran-gosh tha sun hi nahin paya
kuchh waqt bhi guzra hai dabe panw idhar se

kal raat bhi tha chaudhwin ka chand falak par
kal raat bhi ek qafila nikla tha khandar se

ek abr ka tukda hai parinda hai ki tu hai
ye kaun hai jo roz guzarta hai idhar se

kya jaane mujhe takht-e-sulaiman kahan le jae
jhapki hi nahin aankh meri khwab ke dar se

dekha to kisi aankh mein hairat bhi nahin thi
khali tha mera khel bhi har kaif-o-asar se

suraj ke taaqub mein hua wo bhi tah-e-ab
ek shakhs 'ziya' sath tha hangam-e-sahar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close