tar chhedun bhi to jhankar se mahrum rahun aur jo mizrab se chhu lun bhi to sam rota hai zulm ki jab koi tarikh nahin likh sakta khun har sans se bahta hai sitam rota hai fan ko fankar ka inam samajhne walo naqsh-e-mani pe bhi zholida raqam rota hai kuchh mere dida-e-pur-ab pe mauquf nahin un ke hathon gul-e-shadab ka nam rota hai