kuchh uzr pas-e-wada-khilafi nahin rakhte ho kaise masiha dam-e-shafi nahin rakhte aise to na the zakhm ki jo bhar hi na pate ahbab magar zarf-e-talafi nahin rakhte is chain se jine mein koi bhed nahin hai bas ye ki tamannaen izafi nahin rakhte is daur mein insaf panap hi nahin sakta ikhlas-e-qalam jis mein sahafi nahin rakhte hain aur bhi duniya mein sukhnawar bahut achchhe hum jaisa magar zauq-e-qawafi nahin rakhte ye moajiza mohtaj hai pindar-e-wafa ka sab teshe dam-e-koh-shigafi nahin rakhte har baat mein kam-maya nazar aate hain 'anjum' rahat to kuja dard bhi kafi nahin rakhte