kitna dushwar tha duniya ye hunar aana bhi

kitna dushwar tha duniya ye hunar aana bhi
tujh se hi fasla rakhna tujhe apnana bhi
kaisi aadab-e-numaish ne lagain sharten
phul hona hi nahin phul nazar aana bhi
dil ki bigdi hui aadat se ye ummid na thi
bhul jaega ye ek din tera yaad aana bhi
jaane kab shahr ke rishton ka badal jae mizaj
itna aasan to nahin laut ke ghar aana bhi
aise rishte ka bharam rakhna koi khel nahin
tera hona bhi nahin aur tera kahlana bhi
khud ko pahchan ke dekhe to zara ye dariya
bhul jaega samundar ki taraf jaana bhi
jaanne walon ki is bhid se kya hoga 'wasim'
is mein ye dekhiye koi mujhe pahchana bhi
This is a great yaad na aana shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close