mujhe dair bhi ho kyun kar na haram ki tarah pyara tu yahan bhi jalwa-ara tu wahan bhi jalwa-ara hai ajib ye tamasha hai ajib ye nazara meri aahon ka sharara mere aansuon ka dhaara wo payam-e-sham-e-gham ho ki nawed-e-subh-e-ishrat mujhe ye bhi hai gawara mujhe wo bhi hai gawara yunhi mujh ko dubne do inhin mauj-ha-e-gham mein ki muhit-e-gham ka shayad abhi dur hai kinara na farogh-e-ru-e-taban na nigah-e-nur-afshan mere iztirab-e-dil se mera raaz aashkara koi kya samajh sakega ye hai faiz-e-ishq jis ne mujhe is tarah bigada mujhe is tarah sanwara koi chiz bhi hai qismat koi shai bhi hai muqaddar ki main apni koshishon mein yahan bar-bar haara ye hujum-e-na-umidi ye wufur-e-na-muradi hun ajab musibaton mein main musibaton ka mara mujhe ilm is ka kya tha mujhe kya khabar thi 'najmi' ki mujhi ko phunk dega mere ishq ka sharara