kitne dar wa hain kahin aankh milaen to sahi is nae shahr se kuchh rabt badhaen to sahi kisi khushbu ke taaqub mein chalin gam-do-gam dhyan mein chandni ka shahr basaen to sahi kuchh to kahti hai sar-e-sham samundar ki hawa kabhi sahil ki khunuk ret pe jaen to sahi kya khabar ot mein hon us ki manazir kya kya apne pindar ki diwar giraen to sahi dil ke auraq pe ab taza hikayat likhen nae lamhon mein naya khun rachaen to sahi apne bikhre hue zarron ko sameten phir se bazm phir raqs-e-tamanna ki sajaen to sahi 'sham' ye raushni ye rang ke phaile hue jal ek zara un ke tilismat mein aaen to sahi