log ladte rahe nam aae talab-garon mein hum ki chup-chap khade the tere bimaron mein zulm ke hum hain mukhalif magar ek din ke liye shor har roz naya uthta hai akhbaron mein aaj-kal shikwa-e-napaid hai jis ghairat ka khub bikti hai mere shahr ke bazaron mein fakhr kya kam hai ki nilami-e-yusuf mein 'naim' tahi-daman the magar the to kharidaron mein