na koi ghair na apna dikhai deta hai har aadmi mujhe tujh sa dikhai deta hai rawish rawish tere qadmon ke naqsh milte hain gali gali tera chehra dikhai deta hai shab-e-firaq ki tarikiyon ka haal na puchh charagh-e-mah bhi andha dikhai deta hai ajib rang-e-bahaaran hai ab ke gulshan mein na koi phul na ghuncha dikhai deta hai utar ke dekh zara pyar ke samundar mein ki mauj mauj mein rasta dikhai deta hai kahan kahan pe jalaun dil-o-nazar ke charagh har ek ghar mein andhera dikhai deta hai usi ka zahr hai hathon mein aaj tak 'iqbaal' wo ek phul jo pyara dikhai deta hai