nazare ke qabil nazar ho to le

nazare ke qabil nazar ho to le
nazar ko khud apni khabar ho to le

andhere ujale guzar ho to le
shab-e-tira-saman basar ho to le

abhi na-rasai pe kyon guftugu
duaon mein paida asar ho to le

nazar wasil-e-nur ho jaegi
saza-war-e-khwab-e-sahar ho to le

nazare ka imkan bhi mushkil nahin
shuur-e-nazar mo'atabar ho to le

bahar-kaif dil dil se mil jaega
nazar ke muqabil nazar ho to le

chale aaenge log pursish ko bhi
zara haal be-haal-tar ho to le

tajassus ki rahen bhi khul jaengi
junun aql ka rahbar ho to le

mohabbat ke qabil bhi honge 'rishi'
dayar-e-wafa se guzar ho to le


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close