kitni shiddat se tujhe chaha tha

kitni shiddat se tujhe chaha tha
kabhi kuchh aur nahin socha tha

khoe the aise teri chahat mein
tut ke abr-e-junun barsa tha

meri har soch mein thi teri hi soch
mera har lamha tera lamha tha

jab bhi padte the khayalon ke bhanwar
tera chehra hi ubhar aata tha

un dinon jism ki rag rag mein rawan
khun kahan khwahishon ka dariya tha

yaad hai aaj bhi sanson ki mahak
waqt apne liye ruk jata tha

jab chamakta tha badan ka suraj
dhup ban kar main bikhar jata tha

tut jata tha zamanon ka sukut
dafatan sham ko phone aata tha

rang-e-pairahan-e-ehsas thi tu
main nigah-e-talab-e-tishna tha

tu nasim-e-sahar mausam-e-gul
main ki ek tuta hua patta tha

reza reza hua qasr-e-pindar
be-tarah zor-e-badan tuta tha

war di aaj tere dar pe ana
bojh sadiyon se utha rakkha tha

rahen banhen to dariche aankhen
ye tera shahr bhi tujh jaisa tha

umr-bhar apne hi shoalon mein jala
main ki suraj ki tarah tanha tha

garm hain rang ke bazar yahan
itna sannata kahan hota tha

panw niche se zamin bhi nikli
main khalaon ki taraf lapka tha

subh ki tarah wo be-rang hai ab
'sham' ki tarah jise chaha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close