kiya girdab mein jab bhi khuda par aasra hum ne bajae nakhuda paya hai dil ko nakhuda hum ne chaman mein gul mein ghunche mein shafaq mein mehr-o-anjum mein tumhin ko jalwa-gar dekha zamin ta-asman hum ne kuchh is surat se us jaan-e-gulistan ne nazar pheri zamane bhar ki phir badli hui dekhi hawa hum ne farishton ne bhi jab roz-e-azal jurat na ki hamdam kamal-e-ishq ka bar-e-garan sar par liya hum ne banin tir-e-malamat ishq ki khuddariyan aa kar uthana bhi kabhi chaha agar dast-e-dua hum ne musallam ho chuki jab husn ki masumiyat 'jauhar' kiya hum ne jo ulfat mein kiya achchha bura hum ne