koi jaane to kya jaane wo yakta hai hazaron mein sitam-garon mein ayyaron mein dil-daron mein yaron mein kisi ka dil to kya shisha na tuta baada-khwaron mein ye tauba tut kar kyon ja mili parhezgaron mein kahan hai dukhtar-e-raz ai mohtasib hum baada-khwaron mein tere dar se wo kafir ja chhupi parhezgaron mein koi ghuncha-dahan hans kar hamein ab kya hansaega bahaaren hum ne luti hain bahut agli bahaaron mein inhin logon ke aane se to maikhane ki azmat hai qadam lo shaikh ke tashrif lae baada-khwaron mein wo katra kar chale hain mai-kade se hazrat-e-zahid bade murshid hain hathon hath lana un ko yaron mein pada roya kare wo 'dagh' bekas is tarah tanha ki jis ki raat-din hans-bol kar guzri ho yaron mein