nahin hai koi chaman qalb-e-dagh-dar ke baad

nahin hai koi chaman qalb-e-dagh-dar ke baad
yahan khizan nahin aati kabhi bahaar ke baad

bahaar par tha chaman tha chaman mein josh-e-bahaar
bahaar ke ye karishme the aur bahaar ke baad

sukun-badosh ghadi do hi guzri hain mujh par
ek intizar se pahle ek intizar ke baad

sata le rindon ko waiz sata le ji bhar ke
rahega tu na kahin ka khuda ki mar ke baad

kuchh aur josh mein lata hai us ki rahmat ko
gunahgar ka aana gunahgar ke baad

latafaton ne bhi zakhmon pe mere chhidka namak
bataya rang har ek gul ne mujh ko khar ke baad

chhupae baithe the ruswaiyon mein raaz-e-khudi
hum aae samne 'khizr' imtihan-e-dar ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close