mah-jabinon ki mohabbat ka natija na mila murghiyan palin magar ek bhi anda na mila husn-e-khud-bin na mila husn-e-khud-ara na mila jab main sasural gaya ek bhi sala na mila kis tarah jata koi manzil-e-maqsad ki taraf koi yakka koi tanga koi rickshaw na mila nazar aaya na kahin naseh-e-nadan mera justuju jis ki thi wo mitti ka babuwa na mila ab ki nakaam raha qaid-e-mulk-o-millat ab ki barbaadi-e-aqwam ka theka na mila shaikh-sahib ke talawwun ka fusun hai ye bhi masjidon mein kabhi ek mitti ka badhna na mila ai gham-e-dost ziyafat main teri kya karta ek khurak se ration hi ziyaada na mila lakh bazar-e-mohabbat ke lagae phere be-waqufi ke siwa aur koi sauda na mila kis tarah se koi tamir-e-nasheman karta kabhi sutli na mili aur kabhi setha na mila dost ki shirin-bayani ka maza kya kahiye aisi barfi kabhi aisa kabhi peda na mila rakkhe hi rakkhe hui jins-e-karam sab barbaad ek bhuke ko magar pao bhar aata na mila hath aaega na parwana-e-jannat ai qaum shaikh-sahib ko agar halwa paratha na mila kis tarah se kisi tamir ki hoti takmil waqt par jab kabhi inta kabhi gara na mila aaj shamshir-e-barhana wo liye phirte hain jin ke ghar mein kabhi ek bans ka phatta na mila