surmai dhup mein din sa nahin hone pata dhund wo hai ki ujala nahin hone pata dene lagta hai koi zehn ke dar par dastak nind mein bhi to main tanha nahin hone pata gher leti hain mujhe phir se andheri raaten meri duniya mein sawera nahin hone pata chhin lete hain use bhi to ayaadat wale dukh ka ek pal bhi to mera nahin hone pata sakht-jaani meri kya chiz hai hairat hairat chot khata hun shikasta nahin hone pata lakh chaha hai magar ye dil-e-wahshi duniya tere hathon ka khilauna nahin hone pata