koi ada jo kahin apne-pan si pata hun dayar-e-ghair mein thandak watan si pata hun main jab bhi tajziya karta hun tera ai duniya is aaine mein tujhe bad-chalan si pata hun khuda kare ki mere dost khairiyat se hon ajib tarah ki dil mein chubhan si pata hun badalne wala hai shayad mizaj mausam ka jabin-e-waqt ko main pur-shikan si pata hun sukun milta hai yaron se mazarat kar ke talluqat mein jab bhi ghutan si pata hun khuda hi rakkhe mere karwan ki khair ab to ki rahbar mein ada rahzan si pata hun main dushmanon mein nahin doston mein hun 'majid' yahan to aur ziyaada ghutan si pata hun